Rs.30,000 Salary Me Kaise Banaye ₹25 Lakh - Lower Middle Class ke Liye Best Finance Management Tips.
Aaj ke time me har koi chahata hai ki uski salary ka best use ho, khaaskar jab salary ₹30,000 ho aur zimmedariyaan zyada. Is blog me hum ek realistic aur simple finance plan discuss karenge jo specially lower middle class ke liye banaya gaya hai.
Step
1: Health Insurance - Pehla Raksha Kawach
Sabse pehle aapko apna aur apni
family ka health secure karna chahiye. Agar aap kisi acchi company me kaam kar
rahe hain jo health insurance provide karti hai, to aapki badi bachat ho sakti
hai.
Example: Mujhe meri company Rs.2,000 yearly premium me ₹2 lakh ka
family health insurance deti hai. Agar mai khud leta to mujhe Rs.18,000 ka
kharcha aata.
Agar
Company Insurance Nahi Deti?
To aapko khud ka health insurance lena bahut zaruri hai. Medical emergencies bina warning ke aati hain aur sari savings ek jhatke me chali ja sakti hain. aapko health insurance 1 saal ka approx Rs.18,000 se Rs.20,000 ka premium aa sakta hai.
Average Monthly Cost: Rs.1,500
Step
2: Term Insurance - Family Ka Future Safe Kijiye
Agar aap ghar ke ek hi earning
member hain, to aapko ek Term Plan lena chahiye.
- Monthly Premium: Rs.600-Rs.700
- Benefit: Rs.1 crore tak ka cover
- Cover Type:
Sirf death benefit
Yeh plan aapki family ko financially
secure rakhega agar aap nahi rahe to.
Step
3: Rent Planning - Semi Urban Area Ka Fayda Uthaye
Bade cities jaise Ahmedabad, Delhi,
Mumbai me rent bahut high hota hai.
Agar aapke pas papa aur dada ki
taraf se mila huva ghar hai to Mubarak ho, aapki life aur zyada asaan ho
jayegi. Lekin agar aapki family pehle se poor ya low middle class rahi hogi to
, aur aapke paas khud ka ghar nahi hai to aap koi aise city me rahiye jaha pe connectivity
ho lekin ghar ka rent zyada mehnga na ho. Matlab semi urba area me rehna thik
rahega. Kyoki Ahmedabad, surat, Mumbai, delhi jaise cities me ghar ka rent
bahot zyada hota hai. to aapko semi urban area me rehna hai..
Me apna example du to Ahmedabad se 50km
dur Mansa Sheher me rehta tha. Ahmedabad me Home rent Rs.20,000 se Rs.25,000 starting
hote hai jab ki mansa me Rent Rs.3000-Rs.4000 aur maximum Rs.5000 me achhi
socity me ghar mil jata hai ek chhoti family ke liye. Aur me by bus mai daily
updown karta tha. Aur mere mahine ka transportation ka kharcha Rs.1,200 hota
tha, ha travelling me daily 2 hour aur 30 minit jaate the lekin budget set ho
jata tha.
To ye tha mera example jis se aap
bade shaher me job bhi kar sakte ho aur near by semi urban city me ache se reh
bhi sakte ho.
Solution: Job bade city me aur rehna uske pass kisi semi-urban area
me.
Mere is Example aap dekh payege ki
kitna cost cut kiya:
- Ahmedabad me rent: Rs.20,000-Rs.25,000
- Mansa (50km dur): Rs.4,000 + Rs.1,200 transport = Total Rs.5,200
Isse monthly Rs.15,000 tak bachat ho
sakti hai.
Step 4: Smart Saving aur Investment Plan
Salary bachi: Rs.30,000 - Rs.2,000
(Insurance) = Rs.28,000
Ghar
Ke Kharch:
- Monthly Expense + Home Rent : Rs.20,000
- Bachi Salary: Rs.8,000
SIP
Investment:
- Start with: Rs.1,500/month agar 15% per year Return mile to
- Har saal 10% badhayein
- 15 saal baad amount: Rs.16,65,000 approx.
Ab aapko ko har mahine Rs.1500 SIP me invest karna Start kardo aur har saal jab bhi salary badhe to apna investment bhi 10% se badha do for example 1st year Rs.1,500 SIP and 2nd year 1,500+(1500x10%) = 1,650, 3rd year Rs.1,650+(1650+10%)=Rs.1,815, Ye kaam agar aap 15 saal tak karte ho to aapke paise Rs.16,65,000 ho jayege.
ye caclulation maine 15% per year return ke hisaab se count kiya hai, jo ki market standard hai. kabhi kabhi market upar hone ke case me return zyada ho sakta hai aur market niche hone ke cases me return kam bhi ho sakta hai. lekin aaj tak ye record raha hai ki 5 saal se jyada ke investment me kabhi 15% se kam return nahi mila. isiliye maine 15% return Calculate kiya hai.
FD
for Emergency Fund:
- Rs.1,500/month bank saving 7% Return Per Year.
- Har saal FD banayein
- 15 saal me FD total: Rs.7,82,575 approx.
Ab aap Rs.1500 bank account me rakh
do 1 saal ke liye aur 1 saal baad wo Rs.18,000 ho jayage (Rs.1500 har mahine aur
12 mahine ke Rs.18,000). 1 saal ka bank jama kiya huva paisa Bank me FD karva lo
jaha 7% interest milta ho. Aur use bhi 10% badhate jao matlab agle saal se Rs.1650
bank me jama rakdo aur 12 mahine baad Rs.19,800 (Rs.1,650 har mahine aur 12
mahine ke baad 19,800) aur use Fixed deposit karva lo, aise hi har saal mahine
me 10% se apna investment badha lo aur 15 saal tak ye kaam kiya to aapke paas
Rs.7,82,575 hoge.
Step 5: Gold Investment - Long Term Backup
Aap FD ki tarah Rs.2,000 bank me paisa rakhdo aur 12 mahine baad Rs.24,000 ho jayege jis se aap gold kharid lo apni maa, aur biwi ko gift do kisi tyohar me.
Ek baat
dhyan se suno gold ek aisi chiz hai jo mushkil wakq me kaam aati hai. aur apne
ghar ka gehna apni gharki aurto ko khush bhi rakhta hai. har saal gold ki value
badh jaati hai. agar aap pehle saal Rs.24,000 ka sona kharida fir agle saal aap
10% badhake Rs.26,400 ka son kharid lo.
Agar chaho
to sone ke sikke ya biscuit bhi kharid sakte ho.
Sabse bada fayda rate fluctuation ka hoga. kyoki sone ke daam 12 saal pehle Rs.30,000 se Rs.35,000 the jo aaj ki date me Rs.1 Lakh ke karib hai.
Step
6: Rs.2,000 Reserve Rakhein
Yeh paisa unplanned expenses ke liye
rakhein:
- Functions
- Travel
- Festivals
Ab bache hai Rs.2000 jise aap
reserve rakho. Matlab kabhi bhi extra kharch aa sakta ha, jaise kahi bahar jana
huva, kisi ki shaadi attend karna ya koi bhi kharcha. Inshort me aapko mahine
me Rs.6000 jaisa mene kaha vese invest karoge to 15 saal baad SIP se
Rs.16,65,000 + FD se Rs.7,82,500 yaani total
Rs.24,47,500 matlab abhi humne gold count nahi kiya.
Conclusion:
15 Saal me Bane Rs.25 Lakh Ke Malik
Agar aap discipline ke saath har
mahine Rs.6,000 invest karte hain to:
- SIP se: Rs.16,65,000
- FD se: Rs.7,82,500
- Total = Rs.24,47,500 (Gold alag)
Ye
Plan Kiske Liye Hai?
- Salary: Rs.30,000/month
- Background: Lower Middle Class
- Goal: Low risk, long-term wealth
Agar aapki
age 25 saal hai to 40 ki age me aap ke paas approx. Rs.25 lakh ka amount
hoga. Vaise to bahot sare raste hai
investment karne ke liye lekin me ye sabse safe samajta hu. Kyoki share market
me investment ke liye aapko stock market ki knowledge aur reaserch karna padega
jo ek educated persons hi kar payega. Mahine Rs.30,000 ki salary matlab aaj ki
date me low middle class belonging hai uske liye ye strategy best rahegi. Na jyada
risk aur nahi zyada investment. But ha aapko discipline se invest karna jaruri
hai.
Ab aap
kahenege ki aur bhi kharche ayage jaise khud ki shaadi, behen ki shaadi ya
padhai. To mai ye thoda add karuga ki aap future me loan bhi le sakte ho aur
aapki salary every year badhegi. Jaise aap 10% investment me add karte jaoge to
aapki onhand salary badhti jayegi.
Ye plan
simple aur sweet hai. kam risk lekin 40 saal ki age me aap lakhpati ban jayege.
Special Note.: Maine Jo bhi calculation kiya hai uski Excel Sheet me Attach kar raha hu. jis se aapko andaza laga sakte hai ki lakhpati banna possible hai. Excel Sheet yaha se Download karen.
Call
to Action:
Aap is simple aur safe investment plan ko follow karke apni financial journey secure bana sakte hain. Agar aapko ye blog pasand aaye to share karein aur apna feedback zarur dein!
Agar aapko mera ye article achha
laga ho to apne friends aur dosto ke saath share kar sakte hai, aap apne sujhav aur problems comment ya mail
mail kr sakte hai. me apni taraf se aapko financially sujhav dene ki puri
koshish karuga.
Comments